Dil Ke Rishtey Ka Koi Naam Nahi Hota

Dil Ke Rishtey Ka Koi Naam Nahi Hota,
Har Rishtey Ka Koi Mukaam Nahi Hota.
Agar Nibhane Ki Chahat Ho Dono Taraf
To Kasam Se Koi Rishta Naakam Nahi Hota.

Submitted By: Ahmar

Nazar say nazar milla k peo

Penay walon suno na chupa k peo,
Kabhi ishq or sharab mila k peo,
Tum kaho gay kassay mumkin hai yah,
Samnay sanam ko bitha k peo,
Nazar say nazar milla k peo

Submitted By: Shami

Kabhi subah ko yaad aate ho

Kabhi subah ko yaad aate ho.
Kabhi sham ko yaad ate ho.
Kabhi kabhi itne yaad aate ho.
Ki aina hum dekhte hai.
Nazar aap aate ho.

Submitted By: Honey

Rishta aisa ho jo

rishta aisa ho jo hame apna maan sake
hamare har dukh ko jaan sake
chal rahen ho agar tez baarish mein bhi
paani se alag mere aansu pehchan sake.

Submitted By: Sema

Tumhare sath ye duniya nayi si hoti hai

Sulagti raat ghani chandni si hoti hai
Tumhare sath ye duniya nayi si hoti hai

Gale mein uske khuda ki ajeeb barkat hai
Wo bolta hai to ik roshni si hoti hai

Kiran nikalne se pehle gulab dekhe hai
Tumhari yaad mein wo tazgi si hoti hai

Submitted By: Sonya

Ap lakh bhula k dekh lo

Ap lakh bhula k dekh lo
hum dilse yad ayenge

honge apke bade chahne wale
hum sabse badhke chahenge

ap pani p p k thak jana
hum hichkian ban ban ke ayenge.

Submitted By: Joyia

Tu nahi hai ye malum hai mujhe

Dhalti shaam ka khula ehsaas hai,
mere dil mein teri jagah kuch khas hai,
tu nahi hai ye malum hai mujhe,
par dil ye kehta hai tu yahi aas paas hai…

Submitted By: Zara

Dil tere nam leta hai

har darkhan k saath dil tere nam leta hai,
tere khayal meri toti sanson ko tham leta hai,
jb b tanhaiyan satati hain,
tere tassawor mere hath tham lete hai

Submitted By: Sonya

Ye zindagi ka fasila

Bada katin hai ye rasta jo aa sako to sath do
ye zindagi ka fasila jo mita sako to sath do
hazar imtihan yahan hazar aazmaishen
hazar dukh hazar ghum jo utha sako to sath do

Submitted By: Farhad

Pyar kisi or se pyar na kare

Pyar se tab tak pyar na karo
Jab tak pyar aap se pyar na karey

Jab pyar aap se pyar kare
Tab pyar se itna pyar karo
k
Pyar kisi or se pyar na kare

Submitted By: Sohan



| Next Page »

Page 1 of 912345»...Last »